Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
suntaa huun un ki bazm mein chhalkeinge aaj jaam
main bhi chalaa huun dida-e-pur-nam liye hue
ملا نہ لطف وصال لیکن مزے کا شب بھر رہا تماشا
ادھر کھلا بند اس قبا کا گرہ لگا دی ادھر حیا نے
सुनता हूँ उन की बज़्म में छलकेंगे आज जाम
मैं भी चला हूँ दीदा-ए-पुर-नम लिए हुए

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
vo mere naam kare apni khushbuein irsaal
main us ke naam karun apni shaairi sochun
varaq varaq hain yahaan haadsaat-e-roz-o-shab
kitaab-e-zist main mansub ab karun kis se