Shayari
isi ik baat par hai ittifaaq-o-ikhtilaaf us se
use aaina aur mujh ko piyaala achchhaa lagtaa hai
qaraar dil ko sadaa jis ke naam se aayaa
vo aayaa bhi to kisi aur kaam se aayaa
قرار دل کو سدا جس کے نام سے آیا
وہ آیا بھی تو کسی اور کام سے آیا
क़रार दिल को सदा जिस के नाम से आया
वो आया भी तो किसी और काम से आया

isi ik baat par hai ittifaaq-o-ikhtilaaf us se
use aaina aur mujh ko piyaala achchhaa lagtaa hai
hazaar tarah ke the ranj pichhle mausam mein
par itnaa thaa ki koi saath rone vaalaa thaa
jo dil ke taaq mein tu ne charaagh rakkhaa thaa
na puchh main ne use kis tarah sitaara kiyaa
kisi bhi vaqt badal saktaa hai lamha koi
is qadar khush bhi na ho meri pareshaani par
vo log mere bahut pyaar karne vaale the
guzar gae hain jo mausam guzarne vaale the
vo bhi milne nai poshaak badal kar aayaa
main jo kal pairahan-e-khaak badal kar aayaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
martaa huun havas mein gham-e-jaaved ki varna
jiine ko tire hijr ki ik shaam bahut hai
dil kaa saaraa dard simaT aayaa hai meri palkon mein
kitne taaj-mahal Dubeinge paani ki in bundon mein
sun ke saari daastaan-e-ranj-o-gham
kah diyaa us ne ki phir ham kyaa karein