Shayari
bin tumhaare kabhi nahin aai
kyaa miri niind bhi tumhaari hai
khamoshi se adaa ho rasm-e-duri
koi hangaama barpaa kyuun karein ham
خموشی سے ادا ہو رسم دوری
کوئی ہنگامہ برپا کیوں کریں ہم
ḳhamoshī se adā ho rasm-e-dūrī
koī hañgāma barpā kyuuñ kareñ ham

bin tumhaare kabhi nahin aai
kyaa miri niind bhi tumhaari hai
ek qattaala chaahiye ham ko
ham ye ealaan-e-aam kar rahe hain
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
ham ajab hain ki us ki baahon mein
shikva-e-naarasaai karte hain
us ke honThon pe rakh ke honTh apne
baat hi ham tamaam kar rahe hain
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
bichhaDnaa bhi tumhaaraa jite-ji ki maut hai goyaa
use kyaa khaak lutf-e-zindagi jis se judaa tum ho
tum kyuun shab-e-judaai parde mein chhup gae ho
qismat ke aur taare sab aasmaan par hain
judaaiyon ke zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi niind aa gai mujhe bhi sabr aa gayaa
is shahr-e-be-charaagh mein jaaegi tu kahaan
aa ai shab-e-firaaq tujhe ghar hi le chalein
charaagh le ke phiraa DhunDhtaa huaa ghar ghar
shab-e-firaaq jo mujh ko rahi sahar ki talaash
ye to ik rasm-e-jahaan hai jo adaa hoti hai
varna suraj ki kahaan saalgirah hoti hai