Shayari
ishrat-e-haal-e-nau mubaarak ho
aap ko saal-e-nau mubaarak ho
Warm birthday poetry — wishes, blessings, and love for special days.
ishrat-e-haal-e-nau mubaarak ho
aap ko saal-e-nau mubaarak ho
yahi vo din the jab ik dusre ko paayaa thaa
hamaari saal-girah Thiik ab ke maah mein hai
kyaa isi bhuul ko kahte hain mohabbat kaa zavaal
ab mujhe yaad nahin saalgirah bhi teri
baar-e-khaatir hi agar hai to inaayat kiije
aap ko husn mubaarak ho miraa dil mujh ko
do-shaala shaal kashmiri amiron ko mubaarak ho
galim-e-kohna mein jaaDaa faqiron kaa basar hogaa
maan ki duaa na baap ki shafqat kaa saayaa hai
aaj apne saath apnaa janam din manaayaa hai
saalgirah par kitni nek tamannaaein mausul huiin
lekin in mein ek mubaarakbaad abhi tak baaqi hai
farishta hai to taqaddus tujhe mubaarak ho
ham aadmi hain to aib-o-hunar bhi rakhte hain
'shuur' aap kaa pyaar aap ko mubaarak ho
ye pyaar kaa nahin PR kaa zamaana hai
aaj yaaron ko mubaarak ho ki subh-e-eid hai
raag hai mai hai chaman hai dilrubaa hai diid hai
chaand bannaa tumhein mubaarak ho
ghar hamaaraa karoge kab raushan
tu khudaa hai to bajaa mujh ko Daraataa kyuun hai
jaa mubaarak ho tujhe tere karam kaa saaya
ahl-e-gham tum ko mubaarak ho fanaa-aamaadgi
lekin isaar-e-mohabbat jaan de denaa nahin
huzur aap takalluf mein kyon paDe hue hain
mare huon ke janam-din nahin manaataa koi
tumhaari saalgirah par yahi du'aa hai tumhein
falak pe jitne sitaare hon utni khushiyaan milein
jab vasl kaa aaegaa tire saath sanam din
us din ko haqiqat mein kahungaa main janam-din
ghiraa huaa huun janam-din se is taaaqub mein
zamin aage hai aur aasmaan mire pichhe
mehndi mire lahu ki mubaarak ho aap ko
rang-e-hinaa hai is mein aur bu-e-vafaa bhi hai
ab mujh se sambhalti nahin ye dard ki saughaat
le tujh ko mubaarak ho sambhaal apni ye duniyaa
khizaan ki rut hai janam-din hai aur dhuaan aur phuul
havaa bikher gai mom-battiyaan aur phuul