Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
hamein 'jaaved' kyon ghurbat kaa ho gham
amiri mein bhi kuchh raahat nahin thi
ہمیں جاویدؔ کیوں غربت کا ہو غم
امیری میں بھی کچھ راحت نہیں تھی
हमें 'जावेद' क्यों ग़ुर्बत का हो ग़म
अमीरी में भी कुछ राहत नहीं थी

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai