Shayari
dard ho dukh ho to davaa kiije
phaT paDe aasmaan to kyaa kiije
maraz-e-ishq ko shifaa samjhe
dard ko dard ki davaa samjhe
مرض عشق کو شفا سمجھے
درد کو درد کی دوا سمجھے
मरज़-ए-इश्क़ को शिफ़ा समझे
दर्द को दर्द की दवा समझे

dard ho dukh ho to davaa kiije
phaT paDe aasmaan to kyaa kiije
ham aur uThaaeinge ehsaan jaan-navaazi ke
hamein to saans bhi lenaa giraan guzartaa hai
tasalli aap ne di farq hai haan dil ki haalat mein
jo tham tham kar khalish hoti thi paiham hoti jaati hai
qadam milaa ke zamaane ke saath chal na sake
bahut sambhal ke chale ham magar sambhal na sake
ishq ko ek umr chaahiye aur
umr kaa koi e'tibaar nahin
aaj kyaa jaane kyaa hai hone ko
ji bahut chaahtaa hai rone ko
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
koi shikva na gham na koi yaad
baiThe baiThe bas aankh bhar aai
mire aibon ko ginvaayaa to sab ne
kisi ne meri gham-khvaari nahin ki
hamaare she'r naghme aur sajde
adaa jo ho na paae kyaa hue vo