Shayari
maraz-e-ishq ko shifaa samjhe
dard ko dard ki davaa samjhe
aaj kyaa jaane kyaa hai hone ko
ji bahut chaahtaa hai rone ko
آج کیا جانے کیا ہے ہونے کو
جی بہت چاہتا ہے رونے کو
आज क्या जाने क्या है होने को
जी बहुत चाहता है रोने को

maraz-e-ishq ko shifaa samjhe
dard ko dard ki davaa samjhe
ham aur uThaaeinge ehsaan jaan-navaazi ke
hamein to saans bhi lenaa giraan guzartaa hai
tasalli aap ne di farq hai haan dil ki haalat mein
jo tham tham kar khalish hoti thi paiham hoti jaati hai
qadam milaa ke zamaane ke saath chal na sake
bahut sambhal ke chale ham magar sambhal na sake
ishq ko ek umr chaahiye aur
umr kaa koi e'tibaar nahin
dard ho dukh ho to davaa kiije
phaT paDe aasmaan to kyaa kiije
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
vo ik lamha jo tere qurb ki khushbu se hai raushan
ab is lamhe ko paaband-e-salaasil chaahtaa huun main
hotaa na koi kaar-e-zamaana mire supurd
bas apne kaarobaar-e-mohabbat ko dekhtaa
nai mohabbatein 'khaalid' puraani dostiyaan
azaab-e-kashmakash-e-be-amaan mein rahte hain
khinch laai hai mohabbat tire dar par mujh ko
itni aasaani se varna kise haasil huaa main