Shayari
dozakh se bhi kharaab kahun main bahisht ko
do-chaar agar vahaan pe bhi sarmaaya-daar hon
tasvir-e-ru-e-yaar dikhaanaa basant kaa
aTkheliyon se dil ko lubhaanaa basant kaa
تصویر روئے یار دکھانا بسنت کا
اٹکھیلیوں سے دل کو لبھانا بسنت کا
तस्वीर-ए-रू-ए-यार दिखाना बसंत का
अटखेलियों से दिल को लुभाना बसंत का

dozakh se bhi kharaab kahun main bahisht ko
do-chaar agar vahaan pe bhi sarmaaya-daar hon
ek aansu bhi agar ro de to jaanun tujh ko
meri taqdir mujhe dekh kar hansti kyaa hai
rashk-e-jinaan chaman ko banaanaa basant kaa
har har kali mein rang dikhaanaa basant kaa
har samt sabza-zaar bichhaanaa basant kaa
phulon mein rang-o-bu ko luTaanaa basant kaa
tu ne hi rah na dikhaai to dikhaaegaa kaun
ham tiri raah mein gumraah hue baiThe hain
qudrat ki barkatein hain khazaana basant kaa
kyaa khuub kyaa ajiib zamaana basant kaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
siyaah shab mein charaaghon se dosti karnaa
hamein pasand nahin ghar mein dushmani karnaa
na jaane kyuun hamaare dil ko tum ne dil nahin samjhaa
ye shisha toD Daalaa pyaar ke qaabil nahin samjhaa
doston se ye kahun kyaa ki miri qadr karo
abhi arzaan huun kabhi paaoge naayaab mujhe
badlaa jo vaqt gahri rifaaqat badal gai
suraj Dhalaa to saae ki surat badal gai
facebōk hi aaj-kal chaupaal hai
chauk par milte kahaan hain chaar dost