Shayari
jab se ik khvaab ki taabir mili hai mujh ko
main har ik khvaab ki taabir se ghabraataa huun
udaasi kaa samundar dekh lenaa
miri aankhon mein aa kar dekh lenaa
اداسی کا سمندر دیکھ لینا
مری آنکھوں میں آ کر دیکھ لینا
उदासी का समुंदर देख लेना
मिरी आँखों में आ कर देख लेना

jab se ik khvaab ki taabir mili hai mujh ko
main har ik khvaab ki taabir se ghabraataa huun
tum ko maahaul se ho jaaegi nafrat 'aazar'
itne nazdik se dekhaa na karo yaaron ko
koi manzil nahin milti to Thahar jaate hain
ashk aankhon mein musaafir ki tarah aate hain
jaate jaate ye nishaani de gayaa
vo miri aaankhon mein paani de gayaa
ek ik baat mein sachchaai hai us ki lekin
apne vaadon se mukar jaane ko ji chaahtaa hai
us ki aankhon mein utar jaane ko ji chaahtaa hai
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chaahtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
zabt-e-gham vufur-e-shauq aur dil-e-naa-subur-e-ishq
mujh ko to hai ghurur-e-ishq aap ko naaz ho na ho
chheDiye saaz-e-zindagi naghma-navaaz ho na ho
aah to kar ke dekhiye soz mein saaz ho na ho