Shayari
aaj kuchh aise shoale bhaDke baarish ke har qatre se
dhuup panaahein maang rahi hai bhige hue darakhton mein
chaman mein shiddat-e-dard-e-numud se ghunche
taDap rahe hain magar muskuraae jaate hain
چمن میں شدت درد نمود سے غنچے
تڑپ رہے ہیں مگر مسکرائے جاتے ہیں
चमन में शिद्दत-ए-दर्द-ए-नुमूद से ग़ुंचे
तड़प रहे हैं मगर मुस्कुराए जाते हैं

aaj kuchh aise shoale bhaDke baarish ke har qatre se
dhuup panaahein maang rahi hai bhige hue darakhton mein
tanhaaiyon ko saunp ke taarikiyon kaa zahr
raaton ko bhaag aae ham apne makaan se
khudaa maalum kis aavaaz ke pyaase parinde
vo dekho khaamushi ki jhiil mein utre parinde
'kaif' kahaan tak tum khud ko be-daagh rakhkhoge
ab to saari duniyaa ke munh par syaahi hai
sard jazbe bujhe bujhe chehre
jism zinda hain mar gae chehre
khushi ki aarzu kyaa dil mein Thahre
tire gham ne biThaa rakkhe hain pahre
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
sadiyon ke baad hosh mein jo aa rahaa huun main
lagtaa hai pahle jurm ko dohraa rahaa huun main
main phir rahaa huun shahr mein saDkon pe ghaaliban
aavaaz de ke mujh ko miraa ghar pukaar le
chali samt-e-ghaib siin kyaa havaa ki chaman zuhur kaa jal gayaa
magar ek shaakh-e-nihaal-e-gham jise dil kaho so hari rahi