Shayari
chaalis jaam pi ke diyaa ek jaam-e-mai
saaqi ne khuub raah nikaali zakaat ki
ho gae raam jo tum ghair se a jaan-e-jahaan
jal rahi hai dil-e-pur-nur ki lanka dekho
ہو گئے رام جو تم غیر سے اے جان جہاں
جل رہی ہے دل پر نور کی لنکا دیکھو
हो गए राम जो तुम ग़ैर से ए जान-ए-जहाँ
जल रही है दिल-ए-पुर-नूर की लंका देखो

chaalis jaam pi ke diyaa ek jaam-e-mai
saaqi ne khuub raah nikaali zakaat ki
ik baat par qaraar unhein raat-bhar nahin
do do pahar jo haan hai to do do pahar nahin
agar un ko puujaa to kyaa kufr hogaa
ki but bhi khudaa ke banaae hue hain
is qadar mahv na hon aap khud-aaraai mein
daagh lag jaae na aaina-e-yaktaai mein
tiri taarif ho ai sahib-e-ausaaf kyaa mumkin
zabaanon se dahaanon se takallum se bayaanon se
phir na baaqi rahe ghubaar kabhi
holi khelo jo khaaksaaron mein
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jaan insaan ki lene vaalon mein
ek hai maut dusraa hai ishq
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
hazaaron ghar hue hain is se viraan
rahe aabaad sarkaar-e-mohabbat
sunaa haal-e-dil-e-'majruh' shab ko
koi hasrat si hasrat thi bayaan mein