Shayari
dil toDne vaale ko khabar ho ki abhi main
sar-taa-ba-qadam ik dil-e-bimaar nahin huun
jhuuT honTon pe bilaa-khauf-o-khatar aayaa hai
muddaton shahr mein rah kar ye hunar aayaa hai
جھوٹ ہونٹوں پہ بلا خوف و خطر آیا ہے
مدتوں شہر میں رہ کر یہ ہنر آیا ہے
झूट होंटों पे बिला-ख़ौफ़-ओ-ख़तर आया है
मुद्दतों शहर में रह कर ये हुनर आया है

zindagi ik imtihaan hai imtihaan kaa Dar nahin
ham andheron se guzar kar raushni kahlaaeinge
ye dil-fareb charaaghaan ye qahqahon ke hujum
main Dar rahaa huun ab is shahar se guzarte hue
ajiib khauf kaa aalam hai apne chaaron taraf
safar mein lagtaa hai ye aakhiri safar to nahin
saal guzar jaataa hai saaraa
aur calender rah jaataa hai
har ek jism mein maujud hasht-paa ki tarah
vabaa kaa khauf hai khud bhi kisi vabaa ki tarah
main ne kahaa thaa mujh ko andhere kaa khauf hai
us ne ye sun ke aaj miraa ghar jalaa diyaa