Shayari
jise dekho chhupaa phirtaa hai 'khaalid'
jamaaat aa gai mevaat vaali
shaayad ki mar gayaa mire andar kaa aadmi
aankhein dikhaa rahaa hai baraabar kaa aadmi
شاید کہ مر گیا مرے اندر کا آدمی
آنکھیں دکھا رہا ہے برابر کا آدمی
शायद कि मर गया मिरे अंदर का आदमी
आँखें दिखा रहा है बराबर का आदमी

pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
shagufta baagh-e-sukhan hai hamin se ai 'saabir'
jahaan mein misl-e-nasim-e-bahaar ham bhi hain
tum ne kyuun dil mein jagah di hai buton ko 'saabir'
tum ne kyuun kaaba ko but-khaana banaa rakkhaa hai
barsaat tham chuki hai magar har shajar ke paas
itnaa to hai ki aap kaa daaman bhigo sake
azal se dil hai sajda mein tire abru ke masjid mein
uThaataa sar nahin ab tak namaazi us ko kahte hain
dil ko maaraa chashm ne abru ki talvaaron se aaj
kyuun bhiDaa thaa jaa ke ye hushiyaar mai-khvaaron se aaj