Shayari
titli bhaunre kaliyaan phuul
is ke sab divaane the
kaise hasti ke samundar kaa talaatum Thahre
zindagi bhar yahi tadbir-e-bashar hoti hai
کیسے ہستی کے سمندر کا تلاطم ٹھہرے
زندگی بھر یہی تدبیر بشر ہوتی ہے
कैसे हस्ती के समुंदर का तलातुम ठहरे
ज़िंदगी भर यही तदबीर-ए-बशर होती है

titli bhaunre kaliyaan phuul
is ke sab divaane the
khud apni shai pe adhuraa hai ikhtiyaar mujhe
giraa to saktaa huun aansu uThaa nahin saktaa
yuun bhi aankhon se nikalne nahin detaa aansu
ashk-e-gham teraa tasavvur na bahaa le jaae
vo ek shakhs to patthar uchhaal kar chup hai
samundaron se abhi tak sadaaein aati hain
ab jo chaaho vo faisla kar lo
muflisi apne honT si aai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe