Shayari
ji chaahtaa hai tark-e-mohabbat ko baar baar
aataa hai ek aisaa bhi lamha visaal mein
bahut udaas hain divaarein unche mahlon ki
ye vo khanDar hain ki jin mein amiir rahte hain
بہت اداس ہیں دیواریں اونچے محلوں کی
یہ وہ کھنڈر ہیں کہ جن میں امیر رہتے ہیں
बहुत उदास हैं दीवारें ऊँचे महलों की
ये वो खंडर हैं कि जिन में अमीर रहते हैं

ji chaahtaa hai tark-e-mohabbat ko baar baar
aataa hai ek aisaa bhi lamha visaal mein
lafzon ke her-pher se banti nahin ghazal
sheron mein thoDi garmi-e-jazbaat bhi to ho
aur thoDaa saa bikhar jaaun yahi Thaani hai
zindagi main ne abhi haar kahaan maani hai
gham uThaataa huun ghazal kahtaa huun jiitaa rahtaa huun
log kahte hain ki ik din 'mir' ho jaaungaa main
kaTti hai shab visaal ki palkein jhapakte hi
jis ki subh na ho kabhi vo raat bhi to ho
garche halkaa saa dhundlakaa hai tasavvur bhi tiraa
band aankhon ko ye manzar bhi bahut lagtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
pi jis qadar mile shab-e-mahtaab mein sharaab
is balghami-mizaaj ko garmi hi raas hai
aag se paani mein bujhte vaqt uThti hai sadaa
har koi darmaandagi mein naale se naa-chaar hai
gham ho ki khushi donon kuchh duur ke saathi hain
phir rasta hi rasta hai hansnaa hai na ronaa hai