Shayari
ye rang rang parinde hi ham se achchhe hain
jo ik darakht pe rahte hain beliyon ki tarah
main sunaataa rahaa dukhDe 'khaavar'
aur roti rahi shab bhar divaar
میں سناتا رہا دکھڑے خاورؔ
اور روتی رہی شب بھر دیوار
मैं सुनाता रहा दुखड़े 'ख़ावर'
और रोती रही शब भर दीवार

ye rang rang parinde hi ham se achchhe hain
jo ik darakht pe rahte hain beliyon ki tarah
tire sitam ki zamaana duhaai detaa hai
kabhi ye shor tujhe bhi sunaai detaa hai
vo sanvar saktaa hai maaqul bhi ho saktaa hai
meraa andaaza miri bhuul bhi ho saktaa hai
yuun hiraasaan hain musaafir bastiyon ke darmiyaan
ho gai ho shaam jaise jangalon ke darmiyaan
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
sunaa haal-e-dil-e-'majruh' shab ko
koi hasrat si hasrat thi bayaan mein