Shayari
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
har taraf khunin bhanvar har samt chikhon ke azaab
mauj-e-gul bhi ab ke dozakh ki havaa se kam na thi
ہر طرف خونیں بھنور ہر سمت چیخوں کے عذاب
موج گل بھی اب کے دوزخ کی ہوا سے کم نہ تھی
हर तरफ़ ख़ूनीं भँवर हर सम्त चीख़ों के अज़ाब
मौज-ए-गुल भी अब के दोज़ख़ की हवा से कम न थी

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
sabza o gul kahaan se aae hain
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
sayyaad teraa ghar mujhe jannat sahi magar
jannat se bhi sivaa mujhe raahat chaman mein thi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
khizaan kaa bhes banaa kar bahaar ne maaraa
mujhe do-rangi-e-lail-o-nahaar ne maaraa