Shayari
nahin shikva mujhe kuchh bevafaai kaa tiri hargiz
gilaa tab ho agar tu ne kisi se bhi nibhaai ho
dil bhi ai 'dard' qatra-e-khun thaa
aansuon mein kahin giraa hogaa
دل بھی اے دردؔ قطرۂ خوں تھا
آنسوؤں میں کہیں گرا ہوگا
दिल भी ऐ 'दर्द' क़तरा-ए-ख़ूँ था
आँसुओं में कहीं गिरा होगा

nahin shikva mujhe kuchh bevafaai kaa tiri hargiz
gilaa tab ho agar tu ne kisi se bhi nibhaai ho
zindagi hai yaa koi tufaan hai!
ham to is jiine ke haathon mar chale
sair kar duniyaa ki ghaafil zindagaani phir kahaan
zindagi gar kuchh rahi to ye javaani phir kahaan
tar-daamani pe shaikh hamaari na jaaiyo
daaman nichoD dein to farishte vazu karein
aziyyat musibat malaamat balaaein
tire ishq mein ham ne kyaa kyaa na dekhaa
dard-e-dil ke vaaste paidaa kiyaa insaan ko
varna taaat ke liye kuchh kam na the karr-o-bayaan
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
specialist pain-killer de to kaun saa?
''saare jahaan kaa dard hamaare jigar mein hai''
kiyaa dard-o-gham ne mujhe naa-umid
ki majnun ko ye hi thiin bimaariyaan
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa