Shayari
yaar tanhaa ghar mein hai afsos lekin ham nahin
huur to hai gulshan-e-firdaus mein aadam nahin
sar jhukaae rahaa sadaa gardun
kyaa kiyaa thaa jo sharmsaar rahaa
سر جھکائے رہا سدا گردوں
کیا کیا تھا جو شرمسار رہا
सर झुकाए रहा सदा गर्दूं
क्या किया था जो शर्मसार रहा

yaar tanhaa ghar mein hai afsos lekin ham nahin
huur to hai gulshan-e-firdaus mein aadam nahin
phir vahi ham the vahi tum the mohabbat the vahi
sulh kar lete agar aankhein laDaane ke liye
yuun phir rahe hain jaise koi baat hi nahin
aaluda mere khuun se daamaan kiye hue
silsila rakhtaa hai meraa kufr kuchh islaam se
hain kai tasbih ke daane miri zunnaar mein
haath dikhlaa ke ye bolaa vo musalmaan-zaada
ho gayaa dast-e-nigar ab to barahman apnaa
sar miraa kaaT ke pachhtaaiyegaa
kis ki phir jhuTi qasam khaaiyegaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo raatein kaif mein Duubi vo teri pyaar ki baatein
nikal paDte hain aansu jab kabhi ham yaad karte hain
ek do roz kaa sadma ho to ro lein 'faakir'
ham ko har roz ke sadmaat ne rone na diyaa
ye teraa divaana raat gae maalum nahin kyuun pahron tak
aansu ki lakiron se kitne naqsh-e-jazbaat banaae hai