Shayari
mardon ko sab ravaa pa hai aurat ko naaravaa
sharm-o-hayaa kaa shahr mein charchaa bhi hai ajab
vo jab bhi aayaa bahut tez baarishon jaisaa
vo jis ne chaahaa mujhe surmai ghaTaa rakhnaa
وہ جب بھی آیا بہت تیز بارشوں جیسا
وہ جس نے چاہا مجھے سرمئی گھٹا رکھنا
वो जब भी आया बहुत तेज़ बारिशों जैसा
वो जिस ने चाहा मुझे सुरमई घटा रखना

mardon ko sab ravaa pa hai aurat ko naaravaa
sharm-o-hayaa kaa shahr mein charchaa bhi hai ajab
hamein dekho hamaare paas baiTho ham se kuchh sikho
hamin ne pyaar maangaa thaa hamin ne daagh paae hain
us ko fursat bhi nahin mujh ko tamannaa bhi nahin
phir khalish kyaa hai ki rah rah ke vafaa DhunDhti hai
dil mein hai mulaaqaat ki khvaahish ki dabi aag
mehndi lage haathon ko chhupaa kar kahaan rakkhun
kuchh din to malaal us kaa haq thaa
bichhDaa to khayaal us kaa haq thaa
kaun jaane ki uDti hui dhuup bhi
kis taraf kaun si manzilon mein gai
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
havaa chali to koi naqsh-e-motabar na bachaa
koi diyaa koi baadal koi shajar na bachaa
abr mein chaand gar na dekhaa ho
rukh pe zulfon ko Daal kar dekho
kham-e-mehraab-e-abruvaan ke biich
kaam aankhon kaa hai imaamat kaa
sab ko dikhlaataa hai vo chhoTaa banaa kar mujh ko
mujh ko vo mere baraabar nahin hone detaa
main baarishon mein bahut bhigtaa rahaa 'aabid'
sulagti dhuup mein ik chhat bahut zaruri hai