Shayari
us ko khonaa asl mein us ko paanaa hai
haasil kaa hi partav hai laa-haasil mein
kyuun mujhe mahsus ye hotaa hai aksar raat bhar
sina-e-shab par chamaktaa hai samundar raat bhar
کیوں مجھے محسوس یہ ہوتا ہے اکثر رات بھر
سینۂ شب پر چمکتا ہے سمندر رات بھر
क्यूँ मुझे महसूस ये होता है अक्सर रात भर
सीना-ए-शब पर चमकता है समुंदर रात भर

us ko khonaa asl mein us ko paanaa hai
haasil kaa hi partav hai laa-haasil mein
bahut kahaa thaa ki tum akele na rah sakoge
bahut kahaa thaa ki ham ko yuun dar-ba-dar na karnaa
kab tak tu aasmaan mein chhup ke baiThegaa
maang rahaa huun main kab se duaa baahar aa
main to thaa maujud kitaab ke lafzon mein
vo hi shaayad mujh ko paDhnaa bhuul gayaa
main vahm huun ki haqiqat ye haal dekhne ko
giraft hotaa huun apnaa visaal dekhne ko
band paDe hain shahar ke saare darvaaze
ye kaisaa aaseb ab ghar ghar lagtaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
lahu ke paar koi muntazir hai aakhir-e-shab
kamaal-e-zabt se aage safar kiyaa jaae
daagh-e-dil shab ko jo bantaa hai charaagh-e-dahliz
raushni ghar mein mire rahti hai andar baahar