Shayari
ai dost tujh ko rahm na aae to kyaa karun
dushman bhi mere haal pe ab aab-dida hai
yaar par ilzaam kaisaa ai dil-e-khaana-kharaab
jo kiyaa tujh se tiri qismat ne us ne kyaa kiyaa
یار پر الزام کیسا اے دل خانہ خراب
جو کیا تجھ سے تری قسمت نے اس نے کیا کیا
यार पर इल्ज़ाम कैसा ऐ दिल-ए-ख़ाना-ख़राब
जो किया तुझ से तिरी क़िस्मत ने उस ने क्या किया

ai dost tujh ko rahm na aae to kyaa karun
dushman bhi mere haal pe ab aab-dida hai
apni zabaan se mujhe jo chaahe kah lein aap
baDh baDh ke bolnaa nahin achchhaa raqib kaa
jab kahte hain ham karte ho kyuun vaada-khilaafi
farmaate hain hans kar ye nai baat nahin hai
us ne phir kar bhi na dekhaa main use dekhaa kiyaa
de diyaa dil raah chalte ko ye main ne kyaa kiyaa
mal rahe hain vo apne ghar mehndi
ham yahaan eDiyaan ragaDte hain
vahi shaagird phir ho jaate hain ustaad ai 'jauhar'
jo apne jaan-o-dil se khidmat-e-ustaad karte hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ulfat ne tiri ham ko to rakkhaa na kahin kaa
dariyaa kaa na jangal kaa samaa kaa na zamin kaa
khat-e-shikasta mein kyaa jaane kab kashid aa jaae
ki saans rok ke kariyo miyaan kitaabat-e-‘ishq
hamesha aag ke dariyaa mein ishq kyuun utre
kabhi to husn ko gharq-e-azaab honaa thaa
gham-e-hasti bhalaa kab mo'tabar ho
mohabbat mein na jab tak aankh tar ho