Shayari
kaash hotaa maza kahaani mein
dil miraa bujh gayaa javaani mein
sirf nuqsaan hotaa hai yaaro
laabh takraar se nahin hotaa
صرف نقصان ہوتا ہے یارو
لابھ تکرار سے نہیں ہوتا
सिर्फ़ नुक़सान होता है यारो
लाभ तकरार से नहीं होता

kaash hotaa maza kahaani mein
dil miraa bujh gayaa javaani mein
ye kaDvaa sach hai yaaron muflisi kaa
yahaan har aankh mein hain TuuTe sapne
hai mushkil daur sukhi roTiyaan bhi duur hain ham se
maze se tum kabhi kaaju kabhi kishmish chabaate ho
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
'mushafi' kyunke chhupe un se miraa dard-e-nihaan
yaar to baat ke andaaz se paa jaate hain
dud-e-aah-e-jigari kaam na aayaa yaaro
varna ru-e-shab-e-hijr aur bhi kaalaa kartaa
fan jo meaar tak nahin pahunchaa
apne shahkaar tak nahin pahunchaa