Shayari
kis tarah karein tujh se gila tere sitam kaa
madhosh ishaaron ne bhi dil toD diyaa hai
kaun samjhe ham pe kyaa guzri hai 'naqsh'
dil laraz uThtaa hai zikr-e-shaam se
کون سمجھے ہم پہ کیا گزری ہے نقشؔ
دل لرز اٹھتا ہے ذکر شام سے
कौन समझे हम पे क्या गुज़री है 'नक़्श'
दिल लरज़ उठता है ज़िक्र-ए-शाम से

kis tarah karein tujh se gila tere sitam kaa
madhosh ishaaron ne bhi dil toD diyaa hai
tasvir-e-zindagi mein nayaa rang bhar gae
vo haadse jo dil pe hamaare guzar gae
is Dubte suraj se to ummid hi kyaa thi
hans hans ke sitaaron ne bhi dil toD diyaa hai
aghyaar kaa shikva nahin is ahd-e-havas mein
ik umr ke yaaron ne bhi dil toD diyaa hai
yuun ruuTh ke jaane pe main khaamosh huun lekin
ye baat mire dil ko gavaaraa to nahin hai
yuun guzarte hain hijr ke lamhe
jaise vo baat karte jaate hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ulfat mein baraabar hai vafaa ho ki jafaa ho
har baat mein lazzat hai agar dil mein mazaa ho
yaar pahlu mein hai tanhaai hai kah do nikle
aaj kyuun dil mein chhupi baiThi hai hasrat meri
raaste aur tavaazoa mein hai rabt-e-qalbi
jis tarah laam alif mein hai alif laam mein hai
hai jiinaa aur marnaa jab akele hi to mere dil
kisi kaa duur jaanaa kyaa kisi kaa paas aana kyaa