Shayari
jin ki hasrat mein dil-e-rusvaa ne gham khaae bahut
sang ham par in darichon ne hi barsaae bahut
M
Mahtab Zafarzabaan zabaan pe shor thaa ki raat khatm ho gai
yahaan sahar ki aas mein hayaat khatm ho gai
زباں زباں پہ شور تھا کہ رات ختم ہو گئی
یہاں سحر کی آس میں حیات ختم ہو گئی
ज़बाँ ज़बाँ पे शोर था कि रात ख़त्म हो गई
यहाँ सहर की आस में हयात ख़त्म हो गई
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
apne man mein Duub kar paa jaa suraagh-e-zindagi
tu agar meraa nahin bantaa na ban apnaa to ban
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain