Shayari
bahut khaamosh rahtaa hai jo 'tanhaa'
vo mahfil mein baraabar boltaa hai
jis ko raahat hai teri yaadon se
teri furqat mein ashk-baar bhi hai
جس کو راحت ہے تیری یادوں سے
تیری فرقت میں اشک بار بھی ہے
जिस को राहत है तेरी यादों से
तेरी फ़ुर्क़त में अश्क-बार भी है

bahut khaamosh rahtaa hai jo 'tanhaa'
vo mahfil mein baraabar boltaa hai
bazm-e-yaaraan mein baiThtaa huun magar
meri jaanib harif dekhte hain
shahr mein raunaqein sahi 'tanhaa'
apne gaanv se mat kinaaraa kar
dost hi khubiyaan bataate hain
dost hi khaamiyaan nikaalte hain
ye tamaashaa sar-e-baazaar nahin ho saktaa
har koi meraa kharidaar nahin ho saktaa
yaadon ke qaafile mein udaasi thi ham-rikaab
hijrat mein tere shahr se 'tanhaa' nahin gae
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
sunaa hai vo mire baare mein sochtaa hai bahut
khabar to hai hi magar mo'tabar zyaada nahin
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai