Shayari
bazm-e-yaaraan mein baiThtaa huun magar
meri jaanib harif dekhte hain
yaadon ke qaafile mein udaasi thi ham-rikaab
hijrat mein tere shahr se 'tanhaa' nahin gae
یادوں کے قافلے میں اداسی تھی ہم رکاب
ہجرت میں تیرے شہر سے تنہاؔ نہیں گئے
यादों के क़ाफ़िले में उदासी थी हम-रिकाब
हिजरत में तेरे शहर से 'तन्हा' नहीं गए

bazm-e-yaaraan mein baiThtaa huun magar
meri jaanib harif dekhte hain
shahr mein raunaqein sahi 'tanhaa'
apne gaanv se mat kinaaraa kar
dost hi khubiyaan bataate hain
dost hi khaamiyaan nikaalte hain
ye tamaashaa sar-e-baazaar nahin ho saktaa
har koi meraa kharidaar nahin ho saktaa
dasht-e-ghurbat mein ham-safar na banaa
ham kai mehrbaan chhoD aae
bahut khaamosh rahtaa hai jo 'tanhaa'
vo mahfil mein baraabar boltaa hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
haasil-e-gham yahi samajhte hain
maut ko zindagi samajhte hain
aadmiyat ke sivaa jis kaa koi maqsad na ho
umr bhar us aadmi ki justuju karte raho