Shayari
ham ko gham-e-furqat mein do din hi bukhaar aaya
kyaa shakl nikal aai laa-haul valaa quvvat
aate hain yaad mujh ko vo aazaadiyon ke din
hotaa thaa main bhi ek kunvaara ki haae haae
آتے ہیں یاد مجھ کو وہ آزادیوں کے دن
ہوتا تھا میں بھی ایک کنوارہ کہ ہائے ہائے
आते हैं याद मुझ को वो आज़ादियों के दिन
होता था मैं भी एक कुँवारा कि हाए हाए

ham ko gham-e-furqat mein do din hi bukhaar aaya
kyaa shakl nikal aai laa-haul valaa quvvat
phir se vo yogaa ki varzish kar rahe hain baam par
phir se laTh apne mohalle mein vo chalvaaeinge kyaa
bahaane-baaz hain makkaar hain jhuTe hain shaatir hain
mile hain ab kahin jaa kar unhein ushshaaq Takkar ke
tiin din tak khauf ke maare chhupe the jis jagah
us jagah banne ko thaa ik ghusl-khaana yaad hai
hamaare shaikh ji phir se shifaa-khaane mein daakhil hain
bahut akhlaaq ke qaail hue hain ek sister ke
gae the baalTi bharne pe un se ishq kar baiThe
ghaDe apne kisi masjid se bhar laate to achchhaa thaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
main ziyaada huun bahut us ke liye ab tak bhi
aur mere liye vo saare kaa saaraa kam hai
kisi ko qissa-e-paaki-e-chashm yaad nahin
ye aanhkein kaun si barsaat mein nahaai thiin
paDhte phireinge galiyon mein in rekhton ko log
muddat raheingi yaad ye baatein hamaariyaan
tumhaari yaad mein jiine ki aarzu hai abhi
kuchh apnaa haal sambhaalun agar ijaazat ho