Shayari
kuchh is tarah se kahaa mujh se baiThne ke liye
ki jaise bazm se us ne uThaa diyaa hai mujhe
zakhm-e-talaash mein hai nihaan marham-e-dalil
tu apnaa dil na haar mohabbat bahaal rakh
زخم تلاش میں ہے نہاں مرہم دلیل
تو اپنا دل نہ ہار محبت بحال رکھ
ज़ख़्म-ए-तलाश में है निहाँ मरहम-ए-दलील
तू अपना दिल न हार मोहब्बत बहाल रख

kuchh is tarah se kahaa mujh se baiThne ke liye
ki jaise bazm se us ne uThaa diyaa hai mujhe
main apne hijr mein thaa mubtalaa azal se magar
tire visaal ne mujh se milaa diyaa hai mujhe
jo mil gae to tavangar na mil sake to gadaa
ham apni zaat ke andar chhupaa diye gae hain
mumkin nahin hai shaayad donon kaa saath rahnaa
teri khabar jab aai apni khabar gai hai
charaagh-haa-e-takalluf bujhaa diye gae hain
uThaao jaam ki parde uThaa diye gae hain
khud se guzre to qayaamat se guzar jaaeinge ham
yaani har haal ki haalat se guzar jaaeinge ham
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
surur-e-jaan-fazaa deti hai aaghosh-e-vatan sab ko
ki jaise bhi hon bachche maan ko pyaare ek jaise hain
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai