Shayari
aashiq ko dekhte hain dupaTTe ko taan kar
dete hain ham ko sharbat-e-didaar chhaan kar
misaal-e-maahi-e-be-aab mauj taDpaa ki
habaab phuuT ke roe jo tum nahaa ke chale
مثال ماہیٔ بے آب موج تڑپا کی
حباب پھوٹ کے روئے جو تم نہا کے چلے
मिसाल-ए-माही-ए-बे-आब मौज तड़पा की
हबाब फूट के रोए जो तुम नहा के चले

aashiq ko dekhte hain dupaTTe ko taan kar
dete hain ham ko sharbat-e-didaar chhaan kar
tamaam umr jo ki ham se be-rukhi sab ne
kafan mein ham bhi azizon se munh chhupaa ke chale
'anis' aasaan nahin aabaad karnaa ghar mohabbat kaa
ye un kaa kaam hai jo zindagi barbaad karte hain
ashk-e-gham dida-e-pur-nam se sambhaale na gae
ye vo bachche hain jo maan baap se paale na gae
gul-dasta-e-maaani ko nae Dhang se baandhun
ik phuul kaa mazmun ho to sau rang se baandhun
'anis' dam kaa bharosaa nahin Thahar jaao
charaagh le ke kahaan saamne havaa ke chale
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge