Shayari
faqat milnaa-milaanaa kam huaa hai
hamaari dosti TuuTi nahin hai
ghaar vaalon ki tarah niklaa hai vo kamre se aaj
us ko is duniyaa ki tabdili kaa andaaza nahin
غار والوں کی طرح نکلا ہے وہ کمرے سے آج
اس کو اس دنیا کی تبدیلی کا اندازہ نہیں
ग़ार वालों की तरह निकला है वो कमरे से आज
उस को इस दुनिया की तब्दीली का अंदाज़ा नहीं

faqat milnaa-milaanaa kam huaa hai
hamaari dosti TuuTi nahin hai
khushnumaa manzar bhi sab dhundhle nazar aate hain yaar
jab dilon mein bhi utar jaati hai sahraaon ki khaak
ik tabassum kaa bharam aabaad honTon par kiye
ji rahe hain log apni apni viraani ke saath
ai mire munis o gham-khvaar mujhe marne de
baat ab hukm ki taamil tak aa pahunchi hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
teri surat teri chaahat yaadein sab
chhoTe se is dil mein kyaa kyaa rakkhungaa
parind peD se parvaaz karte jaate hain
ki bastiyon kaa muqaddar badaltaa jaataa hai
shaakh se TuuT ke patte ne ye dil mein sochaa
kaun is tarah bhalaa maail-e-hijrat hogaa