Shayari
sach kahne kaa aakhir ye anjaam huaa
saari basti mein main hi badnaam huaa
teri surat teri chaahat yaadein sab
chhoTe se is dil mein kyaa kyaa rakkhungaa
تیری صورت تیری چاہت یادیں سب
چھوٹے سے اس دل میں کیا کیا رکھوں گا
तेरी सूरत तेरी चाहत यादें सब
छोटे से इस दिल में क्या क्या रक्खूँगा

sach kahne kaa aakhir ye anjaam huaa
saari basti mein main hi badnaam huaa
december ki sardi hai us ke hi jaisi
zaraa saa jo chhu le badan kaanptaa hai
raat-bhar khvaab mein jalnaa bhi ik bimaari hai
ishq ki aag se bachne mein samajhdaari hai
raat bechain si sardi mein ThiThurti hai bahut
din bhi har roz sulagtaa hai tiri yaadon se
puraani dekh kar tasvir teri
nayaa har din guzartaa jaa rahaa hai
hamaaraa hijr bhi ab masala ban
zamaane mein uchhaltaa jaa rahaa hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
ho gae din jinhein bhulaae hue
aaj kal hain vo yaad aae hue
tum se mile to khud se ziyaada
tum ko akelaa paayaa ham ne
kar kuchh aisaa ki tujhe yaad rakhun
bhuul jaane kaa taqaazaa hi sahi
chheDtaa kyuun hai khudaa ke liye sayyaad mujhe
nau-giraftaar huun aati nahin fariyaad mujhe
koi shikva na gham na koi yaad
baiThe baiThe bas aankh bhar aai