Shayari
main us ke badan ki muqaddas kitaab
nihaayat aqidat se paDhtaa rahaa
dil hai pyaasaa husain ke maanind
ye badan karbalaa kaa maidaan hai
دل ہے پیاسا حسین کے مانند
یہ بدن کربلا کا میداں ہے
दिल है प्यासा हुसैन के मानिंद
ये बदन कर्बला का मैदाँ है

main us ke badan ki muqaddas kitaab
nihaayat aqidat se paDhtaa rahaa
kamre mein maze ki raushni ho
achchhi si koi kitaab dekhun
nayaa saal divaar par Taang de
puraane baras kaa calendar giraa
aur baazaar se kyaa le jaaun
pahli baarish kaa mazaa le jaaun
donon ke dil mein khauf thaa maidaan-e-jang mein
donon kaa khauf faasla thaa darmiyaan kaa
us se bichhaDte vaqt main royaa thaa khub-saa
ye baat yaad aai to pahron hansaa kiyaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ek dil hai ek hasrat ek ham hain ek tum
itne gham kam hain jo koi aur gham paidaa karein
ai dil tujhe karni hai agar ishq se baiat
zinhaar kabhu chhoDiyo mat silsila-e-dard
khud ko mumtaaz banaane ki dili-khvaahish mein
dushman-e-jaan se mili meri anaa saazish mein
kis qadar dil se faraamosh kiyaa aashiq ko
na kabhi aap ko bhule se bhi main yaad aayaa