Shayari
rang badlaa huaa thaa phulon kaa
tum yaqinan udaas guzre the
yaqin kijiye sab intishaar khatm hue
jab apne aap ko taskhir kar liyaa main ne
یقین کیجیے سب انتشار ختم ہوئے
جب اپنے آپ کو تسخیر کر لیا میں نے
यक़ीन कीजिए सब इंतिशार ख़त्म हुए
जब अपने आप को तस्ख़ीर कर लिया मैं ने

rang badlaa huaa thaa phulon kaa
tum yaqinan udaas guzre the
bin dekhe bhi chain nahin hai 'mustahsan'
dekhun to saari binaai jaati hai
tiri lab-kushaai pe munhasir miri zindagaani hai dostaa
tiraa bolnaa bhi qubul hai tiri khaamushi bhi aziiz hai
lutf ki in pe koi khaas nazar hai ki nahin
apne maston ki koi khair-khabar hai ki nahin
sivaae is ke koi bhi masrufiyat nahin hai
main in dinon bas charaagh taqsim kar rahaa huun
ham talvaar uThaa nahin paae
ham aavaaz uThaa sakte the
uThaa hi laayaa sabhi raaste vo kaandhon par
yaqin us pe na kartaa to main kidhar jaataa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
ye log homo-havan mein yaqin rakhte hain
chalo yahaan se chalein haath jal na jaae kahin
ajnabi duniyaa pe main karti bharosa kis tarah
jab yaqin ne saath chhoDaa to gumaan chaltaa rahaa
mujh ko auron se kuchh nahin hai kaam
tujh se har dam umid-vaari hai