Shayari
tiri judaai kaa mausam bhi khub-surat hai
mujhe nikaal rahaa hai khumaar se baahar
M
Mohammad Naved Mirzaudaas rut hai abhi tak mire taaaqub mein
khizaan ke phuul khile hain bahaar se baahar
اداس رت ہے ابھی تک مرے تعاقب میں
خزاں کے پھول کھلے ہیں بہار سے باہر
उदास रुत है अभी तक मिरे तआक़ुब में
ख़िज़ाँ के फूल खिले हैं बहार से बाहर
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
kyon nahin dekhtaa hai vo muD kar
mar gaiin raah mein sadaaein kyaa