Shayari
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
kaash koi ham se bhi puchhe
raat gae tak kyuun jaage ho
کاش کوئی ہم سے بھی پوچھے
رات گئے تک کیوں جاگے ہو
काश कोई हम से भी पूछे
रात गए तक क्यूँ जागे हो

kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
tumhein jab ru-ba-ru dekhaa kareinge
ye sochaa hai bahut sochaa kareinge
mausam-e-zard mein ek dil ko bachaaun kaise
aisi rut mein to ghane peD bhi jhaD jaate hain
kaun si baat hai tum mein aisi
itne achchhe kyuun lagte ho
baDi umr ke baa'd in aankhon mein koi abr utraa tiri yaadon kaa
mire dil ki zamin aabaad hui mire gham kaa nagar shaadaab huaa
azal se qaaem hain donon apni zidon pe 'mohsin'
chalegaa paani magar kinaara nahin chalegaa
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
us ko sochun to dhyaan mein mere
khushbu aati hai pahli baarish ki
andheri shab kaa ye khvaab-manzar mujhe ujaalon se bhar rahaa hai
to raat itni tavil kar de ki taa-qayaamat sahar na aae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai