Shayari
ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
shikasta-haal saa be-aasraa saa lagtaa hai
ye shahr dil se ziyaada dukhaa saa lagtaa hai
شکستہ حال سا بے آسرا سا لگتا ہے
یہ شہر دل سے زیادہ دکھا سا لگتا ہے
shikasta-hāl sā be-āsrā sā lagtā hai
ye shahr dil se ziyāda dukhā sā lagtā hai

ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
sukhan mein sahl nahin jaan nikaal kar rakhnaa
ye zindagi hai hamaari sambhaal kar rakhnaa
shaayad ki khudaa mein aur mujh mein
ik jast kaa aur faasla hai
tum ham-safar hue to hui zindagi aziiz
mujh mein to zindagi kaa koi hausla na thaa
jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi
sochtaa jaaun magar dil mein basaae jaaun
laai hai ab uDaa ke gae mausamon ki baas
barkhaa ki rut kaa qahr hai aur ham hain dosto
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
chal diye su-e-haram ku-e-butaan se 'momin'
jab diyaa ranj buton ne to khudaa yaad aayaa
kabhi ham mein tum mein bhi chaah thi kabhi ham se tum se bhi raah thi
kabhi ham bhi tum bhi the aashnaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
yaad us but ki namaazon mein jo aai mujh ko
tapish-e-shauq se har baar mein baiThaa uTThaa
jhuTi baatein mujhe yaad aaiin jo us ki shab-e-hijr
subh-e-kaazib ko main peshaani-e-qaatil samjhaa