Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
le chali hai jo dil to zulf-e-daraaz
gaanTh mein baandh liijo kas kar dil
لے چلی ہے جو دل تو زلف دراز
گانٹھ میں باندھ لیجو کس کر دل
ले चली है जो दिल तो ज़ुल्फ़-ए-दराज़
गाँठ में बाँध लीजो कस कर दिल

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ik manzar mein ik dhundle se aks mein chhup ke ro lein
ham kis khvaab mein aankhein mundein kis mein aankhein kholein
rah gai zindagi dard ban ke
dard dil mein chhupaae chhupaae
tire firaaq mein dil kaa ajiib aalam hai
na kuchh khumaar se baDh kar na kuchh khumaar se kam
tashhir to maqsud nahin qissa-e-dil ki
so tujh ko likhaa teri nishaani nahin likkhi