Shayari
aur koi pahchaan miri banti hi nahin
jaante hain sab log ki bas teraa huun main
log kirdaar bannaa chaahte hain
jaise mumkin hai sab riyaazat se
لوگ کردار بننا چاہتے ہیں
جیسے ممکن ہے سب ریاضت سے
लोग किरदार बनना चाहते हैं
जैसे मुमकिन है सब रियाज़त से

aur koi pahchaan miri banti hi nahin
jaante hain sab log ki bas teraa huun main
mohabbat ne akelaa kar diyaa hai
main apni zaat mein ik qaafila thaa
saare savaal aasaan hain mushkil ek javaab
ham bhi ek javaab hain koi savaal kare
bad-nasibi ki ishq kar ke bhi
koi dhoka nahin huaa mire saath
dil mubtalaa-e-hijr rifaaqat mein rah gayaa
lagtaa hai koi farq mohabbat mein rah gayaa
kuchh is liye bhi akelaa saa ho gayaa huun 'nadim'
sabhi ko dost banaayaa hai dushmani nahin ki
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
apne viraane kaa nuqsaan nahin chaahtaa main
yaani ab dusraa insaan nahin chaahtaa main
ye mere saathi hain pyaare saathi magar inhein bhi nahin gavaaraa
main apni vahshat ke maqbare se nai tamannaa ke khvaab dekhun
tamaam vahm o gumaan hai to ham bhi dhoka hain
isi khayaal se duniyaa ko main ne pyaar kiyaa