Shayari
maut se aage tak ke manzar dekhe hain
tanhaai se yunhi Dar nahin jaataa main
utni der sameTun saare dukh tere
jitni der ai dost bikhar nahin jaataa main
اتنی دیر سمیٹوں سارے دکھ تیرے
جتنی دیر اے دوست بکھر نہیں جاتا میں
उतनी देर समेटूँ सारे दुख तेरे
जितनी देर ऐ दोस्त बिखर नहीं जाता मैं

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
tum samundar ki rifaaqat pe bharosa na karo
tishnagi lab pe sajaae hue mar jaaoge
ajab taqaazaa hai mujh se judaa na hone kaa
ki jaise kaun-o-makaan mere ikhtiyaar mein hai
yaar main itnaa bhukaa huun
dhokaa bhi khaa letaa huun
Thukraao ab ki pyaar karo main nashe mein huun
jo chaaho mere yaar karo main nashe mein huun
mohabbaton ke kai rang ruup hote hain
fareb-e-yaar se koi gila nahin karte