Shayari
dil ki shaamat aai jaa kar phans gayaa
yaar ke gesu-e-pur-kham kyaa karein
sharaab-e-mohabbat ko ai zaahido tum
buraa gar kahoge to achchhaa na hogaa
شراب محبت کو اے زاہدو تم
برا گر کہو گے تو اچھا نہ ہوگا
शराब-ए-मोहब्बत को ऐ ज़ाहिदो तुम
बुरा गर कहोगे तो अच्छा न होगा

dil ki shaamat aai jaa kar phans gayaa
yaar ke gesu-e-pur-kham kyaa karein
ye but qismat ke puure haT ke puure dhun ke puure hain
koi in mein se ho vaade kaa puuraa ho nahin saktaa
aap ki mahfil-e-ishrat ko na chhoDaa khaali
main agar aa na sakaa meri shikaayat aai
dil bhalaa aashiqon ke paas kahaan
aap hi chin-chaan lete hain
mai-kade ke qarib ham vaaiz
teri zid se makaan lete hain
tasalliyaan bhi nahin un ki chheD se khaali
rulaa ke chhoDte hain vo hansaa hansaa ke mujhe
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht