Shayari
aankhon mein hai lihaaz tabassum-fizaa hain lab
shukr-e-khudaa ke aaj to kuchh raah par hain aap
ai sakinaan-e-charkh-e-muallaa bacho bacho
tufaan huaa buland mire aab-dida kaa
اے ساکنان چرخ معلی بچو بچو
طوفاں ہوا بلند مرے آب دیدہ کا
ऐ सकिनान-ए-चर्ख़-ए-मुअल्ला बचो बचो
तूफ़ाँ हुआ बुलंद मिरे आब-दीदा का

aankhon mein hai lihaaz tabassum-fizaa hain lab
shukr-e-khudaa ke aaj to kuchh raah par hain aap
sailaab-e-chashm-e-tar se zamaana kharaab hai
shikve kahaan kahaan hain mire aab-dida ke
rabt-e-baaham ke maze baaham rahein to khuub hain
yaad rakhnaa jaan-e-jaan gar main nahin to tu nahin
kaaba nahin hai zaahid-e-ghaafil nishaan-e-dost
dil DhunD aashiqon kaa yahi hai makaan-e-dost
kyaa us haraam-khor ko juz murda hai nasib
aayaa na munh mein gor ke luqma halaal kaa
naam meraa sunte hi sharmaa gae
tum ne to khud aap ko rusvaa kiyaa
tabiat ki mushkil-pasandi to dekho
hasinon se tark-e-vafaa chaahtaa huun
vahin pe TuTne lagtaa hai aitabaar-e-vafaa
jahaan yaqin zyaada dilaae jaate hain
nahin shikva mujhe kuchh bevafaai kaa tiri hargiz
gilaa tab ho agar tu ne kisi se bhi nibhaai ho
zindagi hai yaa koi tufaan hai!
ham to is jiine ke haathon mar chale
gumaan kahtaa hai meraa ki ek din mujh par
tiri vafaa tiri chaahat kaa maan barsegaa
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai