Shayari
aane vaali ruto sabz rakhnaa qabaa
ghuncha-e-dil khizaan se pareshaan hai
N
Nazia Nazinuqta-e-injimaad ko pahunchaa
mausam-e-hijr dard-e-tanhaai
نقطۂ انجماد کو پہنچا
موسم ہجر درد تنہائی
नुक़्ता-ए-इंजिमाद को पहुँचा
मौसम-ए-हिज्र दर्द-ए-तन्हाई
aane vaali ruto sabz rakhnaa qabaa
ghuncha-e-dil khizaan se pareshaan hai
guzartaa jaa rahaa hai vaqt juun juun
rag-e-jaan mein utarte jaa rahe ho
use kaho ki natija koi na niklegaa
use kaho ki mohabbat kaa imtihaan na le
nazar-andaaz karnaa to bahut aasaan hai lekin
nazar-andaaz hone se bahut taklif hoti hai
un ko mahsus kyon nahin hotaa
dil taDaptaa hai itni shiddat se
pahle apne the ab paraae hain
lafz naaraaz ho gae mujh se
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
koi ilaaj-e-gham-e-zindagi bataa vaaiz
sune hue jo fasaane hain phir sunaa na mujhe
tumhaari chaukhaTon ke dipakon mein
hamaare aansuon se raushni hai
main jab bhi ghar se nikaltaa huun raat ko tanhaa
charaagh le ke koi saath saath chaltaa hai