Shayari
rok do ye raushni ki tez dhaar
meri miTTi mein gundhi hai raat bhi
jaane kis ummid pe chhoD aae the ghar-baar log
nafraton ki shaam yaad aae puraane yaar log
جانے کس امید پہ چھوڑ آئے تھے گھر بار لوگ
نفرتوں کی شام یاد آئے پرانے یار لوگ
जाने किस उम्मीद पे छोड़ आए थे घर-बार लोग
नफ़रतों की शाम याद आए पुराने यार लोग

rok do ye raushni ki tez dhaar
meri miTTi mein gundhi hai raat bhi
vo saanp jis ne mujhe aaj tak Dasaa bhi nahin
tamaam zahr sukhan mein mire usi kaa hai
phir is mazaaq ko jamhuriyat kaa naam diyaa
hamein Daraane lage vo hamaari taaqat se
apni aahaT pe chaunktaa huun main
kis ki duniyaa mein aa gayaa huun main
vo tanz ko bhi husn-e-talab jaan khush hue
ulTaa paDhaa gayaa, miraa paighaam aur thaa
is baar intizaam to sardi kaa ho gayaa
kyaa haal peD kaTte hi basti kaa ho gayaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
is naghmagi kaa thoDaa gunah-gaar main bhi huun
mujh se bhi is jahaan mein halchal rahi hai dost
ab aadmi kuchh aur hamaari nazar mein hai
jab se sunaa hai yaar libaas-e-bashar mein hai
raaz-e-nihaan zabaan-e-aghyaar tak na pahunchaa
kyaa ek bhi hamaaraa khat yaar tak na pahunchaa