Shayari
dil unhein deinge magar ham deinge in sharton ke saath
aazmaa kar jaanch kar sun kar samajh kar dekh kar
barbaad-e-vafaa ho kar masjud-e-jahaan dil ho
aadhe mein bane masjid aadhe mein sanam-khaana
برباد وفا ہو کر مسجود جہاں دل ہو
آدھے میں بنے مسجد آدھے میں صنم خانہ
बर्बाद-ए-वफ़ा हो कर मस्जूद-ए-जहाँ दिल हो
आधे में बने मस्जिद आधे में सनम-ख़ाना

dil unhein deinge magar ham deinge in sharton ke saath
aazmaa kar jaanch kar sun kar samajh kar dekh kar
jab zikr kiyaa main ne kabhi vasl kaa un se
vo kahne lage paak mohabbat hai baDi chiiz
vo haath mein talvaar liye sar pe khaDe hain
marne nahin deti mujhe marne ki khushi aaj
jo ahl-e-zauq hain vo lutf uThaa lete hain chal phir kar
gulistaan kaa gulistaan mein bayaabaan kaa bayaabaan mein
koi yahaan se chal diyaa raunaq-e-baam-o-dar nahin
dekh rahaa huun ghar ko main ghar hai magar vo ghar nahin
nuuh baiThe hain chaarpaai par
chaarpaai pe nuuh baiThe hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
Tapakte hain shab-e-gham dil ke TukDe dida-e-tar se
sahar ko kaise kaise phuul chuntaa huun main bistar se
fikr-e-manzil hai na hosh-e-jaada-e-manzil mujhe
jaa rahaa huun jis taraf le jaa rahaa hai dil mujhe
khabar tak ho nahin paati kisi ko
vo yuun dil ke dariche kholtaa hai
gar tujh mein hai vafaa to jafaakaar kaun hai
dil-daar tu huaa to dil-aazaar kaun hai