Shayari
hamaare baa'd ratjagaa tumhaaraa ham-safar bane
hamaare baa'd karvaTein badalte maut paao tum
main muqallid nahin huun rivaayaat kaa
meri raahein baghaavat se mashrut hain
میں مقلد نہیں ہوں روایات کا
میری راہیں بغاوت سے مشروط ہیں
मैं मुक़ल्लिद नहीं हूँ रिवायात का
मेरी राहें बग़ावत से मशरूत हैं

hamaare baa'd ratjagaa tumhaaraa ham-safar bane
hamaare baa'd karvaTein badalte maut paao tum
kabhi bhi pashemaan na honge kiye par
salaamat raheingi anaaein hamaari
zindagi ki is ghazal mein mere saath
naam teraa hai radifon ki tarah
hamaare baa'd vaahime nasib mein tumhaare hon
hamaare baa'd rak'at-e-namaaz bhuul jaao tum
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
kin manzilon luTe hain mohabbat ke qaafile
insaan zamin pe aaj gharib-ul-vatan saa hai
dimaagh un ke tajassus mein jism ghar mein rahaa
main apne ghar hi mein rahte hue safar mein rahaa
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai