Shayari
bahti nahin hai mard ki aaankhon se ju-e-ashk
lekin hamein bataao ki ham kis liye hansein
sab mastiyon mein pheinko na patthar idhar udhar
divaano! is dayaar mein shishe ke ghar bhi hain
سب مستیوں میں پھینکو نہ پتھر ادھر ادھر
دیوانو! اس دیار میں شیشے کے گھر بھی ہیں
सब मस्तियों में फेंको न पत्थर इधर उधर
दीवानो! इस दयार में शीशे के घर भी हैं

bahti nahin hai mard ki aaankhon se ju-e-ashk
lekin hamein bataao ki ham kis liye hansein
ye sehn-e-gulistaan nahin maqtal hai rafiqo!
har shaakh hai talvaar yahaan, jaagte rahnaa
un makaanon mein bhi insaan hi rahte honge
raunaqein jin mein nahin aap ki mahfil ki si
paivand ki tarah nazar aataa hai bad-numaa
pukhta makaan kachche gharon ke hujum mein
shaayad kisi ki yaad kaa mausam phir aa gayaa
pahlu mein dil ki tarah dhaDakne lagi hai shaam
kuchh dard ke maare hain kuchh naaz ke hain paale
kuchh log hain ham jaise kuchh log hain tum jaise
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
mujh ko ye soch hai jiite hain ve kyun-kar yaa-rab
apne maashuqon se jo shakhs judaa rahte hain
zamaana dosti par in hasinon ki na itraae
ye aalam-dost aksar dushman-e-aalam bhi hote hain
sahraa pe buraa vaqt mire yaar paDaa hai
divaana kai roz se bimaar paDaa hai
jahaan ho pyaar ghalat-fahmiyaan bhi hoti hain
so baat baat pe yuun dil buraa nahin karte
fikr-e-sukhan talaash-e-maaash o khayaal-e-yaar
gham kam huaa to haan dil-e-be-gham se hovegaa