Shayari
kartaa rahaa main minnatein kam ki na kuchh duaa
haasil huaa na kuchh to khudaa be-asar lagaa
hai pyaar kaa ye khel kahaan makr se khaali
lekin dil-e-naadaan ko dikhaanaa nahin aayaa
ہے پیار کا یہ کھیل کہاں مکر سے خالی
لیکن دل ناداں کو دکھانا نہیں آیا
है प्यार का ये खेल कहाँ मक्र से ख़ाली
लेकिन दिल-ए-नादाँ को दिखाना नहीं आया

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
raasta saaf nazar aataa hai raahi to nahin
kuchh kaho raah-e-mohabbat mein tabaahi to nahin
karun qat-e-ulfat buton se va-lekin
ye kaafir miraa dil nahin maantaa hai
kiyaa jo pahle hi daagh dil ko main us ke gham mein to ishq bolaa
charaagh raushan muraad haasil muraad haasil charaagh raushan