Shayari
apne junun-kade se nikaltaa hi ab nahin
saaqi jo mai-farosh sar-e-rahguzaar thaa
buraai bhalaai ki surat hui
mohabbat mein sab kuchh ravaa ho gayaa
برائی بھلائی کی صورت ہوئی
محبت میں سب کچھ روا ہو گیا
बुराई भलाई की सूरत हुई
मोहब्बत में सब कुछ रवा हो गया

apne junun-kade se nikaltaa hi ab nahin
saaqi jo mai-farosh sar-e-rahguzaar thaa
falak pe chaand sitaare nikalte hain har shab
sitam yahi hai nikaltaa nahin hamaaraa chaand
ham ko bharam ne bahr-e-tavahhum banaa diyaa
dariyaa samajh ke kuud paDe ham saraab mein
vo maah jalva dikhaa kar hamein huaa ru-posh
ye aarzu hai ki nikle kahin dobaaraa chaand
qaalib ko apne chhoD ke maqlub ho gae
kyaa aur koi qalb hai is inqalaab mein
jazba-e-ishq chaahiye suufi
jo hai afsurda ahl-e-haal nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
puuri ho jaati agar koi kahaani hoti
ye mohabbat hai miyaan is mein kasak rahti hai
kisi ke saath milaa huun baDi mohabbat se
kabhi kabhaar jo milte hain achchhe rahte hain
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
pyaar apni jagah par ek shikaayat hai mujhe
tum ne aane mein bahut der ki aane vaale