Shayari
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
ro paDi raat simaT kar mire dastaane mein
chaand ko duur kahin kho diyaa viraane mein
رو پڑی رات سمٹ کر مرے دستانے میں
چاند کو دور کہیں کھو دیا ویرانے میں
रो पड़ी रात सिमट कर मिरे दस्ताने में
चाँद को दूर कहीं खो दिया वीराने में

jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
kahun ai zauq kyaa haal-e-shab-e-hijr
ki thi ik ik ghaDi sau sau mahine
ai soz-e-jaan-gudaaz abhi main javaan huun
ai dard-e-laa-ilaaj ye umr-e-shabaab hai
us ko sochun to dhyaan mein mere
khushbu aati hai pahli baarish ki